Muharram Shayari: Urdu Poetry on Muharram

Muharram Shayari: Urdu Poetry on Muharram

Muharram Shayari: Muharram is the first month of the Islamic calendar thereby, marking it as the Islamic New Year. One of the holiest months, Muharram is also associated with commemorating the martyrdom of Hazrat Imam Hussain Ali, Prophet Muhammad’s grandson. The festival is observed for the first ten days of the month. While in India – Sunni Muslims observe the festival with peace and silence by fasting and preparing various dishes, Shia Muslims mourn, perform matam and take out taziya. Reciting shayari is also popular activity indulged in on Muharram, mainly related to Prophet Muhammad, Hazrat Imam Hussain and Islam. In case you are looking out for some shayari pertaining to Muharram, browse through the article below to find a collection of shayaris.

Muharram Shayari on martyrdom of Hazrat Imam Hussain Ali

Hussain Ki Namaz Jari Hai
Jabeen-E-Ibn-E-Ali ki niyaz jari hai
Khuda ke deen ki Umr-E-Daraz jari hai
Sajde mein rakh ke sir ko na uthaya Hussain ne
Mere Hussain ki ab tak namaz jari hai

Phir Aaj Haq Ke Liye
Phir aaj haq ke liye jaan fida kare koi
Wafa bhi jhoom uthe yun wafa kare koi
Namaz 1400 saalon se intezar mein hai
Hussain ki tarha mujh ko adaa kare koi

Aankhon Ko Koi Khwaab
Aankhon ko koi khwaab to dikhayi de
Tabeer me Imam ka jalwa dikhayi de
Aye! Ibn-E-Murtuza tere samne
Suraj bhi ek chota sa zarra dikhayi de

Karbala Walon Ka Gham
Karbala walon ka gham ghar ghar mein manaya jayega
Maqsad-E-Shabeer aalam ko bataya jayega
Yaad kar ke jo na roya Karbala walon ki pyaas
Qabar se tishna wo mehshar main uthaya jayega

Ek Din Bade Ghroor
Ek din bade ghroor se kehne lagi zameen
Aya mere naseeb mein parchum Husain ka
Phir chand ne kaha mere seene ke daagh dekh
Hota hai aasmaan pe bhi maatam Hussain ka

Kuch Barhami Hai Zara
Kuch barhami hai zara is Noor-e-Ain mein
Milta hai iztiraab yunhi dil ke chain mein
Selaab dekhta hoon to ata hai ye khyal
Pani bhatak raha hai Talash-e-Hussain mein

Tere Dil Main Kaisi Girah Pari
Tere dil mein kaisi girah padi tujhey usse itna hasad hai kyun?
Jo Nabi (S.A.W.) ki aankh ka noor hai jo Ali ki rooh ka chain hai
Kabhi dekh apne khameer mein kabhi pooch apne zameer se
Wo jo mit gaya wo yazeed tha, jo na mit saka woh Hussain hai

Quran Sunaney Wala
Sar gair ke aage na jukane wala
Aur nezey pe bhi Quran sunaney wala
Islam se kya poochte ho kaun Hussain hai
Islam ko Islam banane wala

Fiza-e Jannat Mein Bhi Hamesha
Fiza-e jannat mein bhi hamesha nasheest unhi saji rahegi
Tamam ahlay wila ka mirkaz Nabi (PBUH) ki bada dari rahegi
Jo phool shaakhon say gir bhi jayen to unse khushboo juda na hogi
Jo hum mare bhi to zehan-o-dil mein ALI (A.S) ki khushboo basi rahegi

Check Also

Muharram Celebration: Sunnis and Shias in India

Muharram Celebration: Sunnis and Shias in India

Muharram Celebration: Muharram marks the Islamic New Year for both Muslim communities, Sunnis and Shias. …

4 comments

  1. Phir Aaj Haq Ke Liye
    Phir aaj haq ke liye jaan fida kare koi
    Wafa bhi jhoom uthe yun wafa kare koi
    Namaz 1400 saalon se intezar mein hai
    Hussain ki tarha mujh ko adaa kare koi

    Ye ashar kiska hai plz batayen reply kijiye

  2. very helpful content keeps posting these types of content

    if you want to read posts about a relationship, health, fitness, psychology then just visit my blog Illusion Lyfstyle

  3. wow very helpful content keeps posting these types of content